Symptoms of Stomach Worm in Goats
|
Bakariya
aur unke pet ke kide yaani (Stomach Worm in Goats) ke bare me acchi khabar ye hai ki
bakariyo ke pet ke kido se insano ko koi nuksaan nahi hota, lekin buri khabar
ye hai ki ye kide bakariyo ko nuksaan puchate hai. is smasya ka hal ye hai ki
aap bakariyo ko pet ke kide marane ki dva (dewormer) de sakate ho. market me
bakariyo ke pet ke kide marane ke liye kafi dawaiya uplabadha hai lekin in
dawaiyome kaafi sare chemicals paaye jaate hai, jis karan bakariyo ko in
dawaiyo ka side effect bhi hota hai. aur sabse mahatvpurn bat ye hai ki in
dawaiyo ki uplabadhata aaur kimat ke karan bakari palak dewormer ko kharidanese
katrate hai sath hi in dawaiyo ki matra bhi niyojit tor par deni hoti hai agar
in dawaiyoki matra thodi bhi jyada ho gayi to bakari ko nukasan ho sakata
hai. Sabase pahale dekhate hai ki bakariyo me (Stomach Worm in Goats) yani pet ke kide
hai ke nahi hum kaise jachenge.
Symptoms of Stomach Worm in
Goats
Ø Pale Gums (Masude ka
Rang Safed hona)
Ø Abnormal Stools
(Bakariyo ko bar bar diarrhea hona)
Ø Dull Coat ( Bakariyo ke
bal aaur twacha bejan dikhna)
Ø Low Weight (Bakariya
kamjor hona)
Ø Pale Gums
(Masude ka Rang Safed hona)
Bakariyo
ke pet me kide (Stomach Worm in Goats) hai ya nahi ye janane ke liye sabase aasan aaur
saral upay hai unke masude check karana. Swasth bakariyo ke masude halke gulabi
ya gulabi hote hai, jabaki, jis bakari ke pet me kide (Stomach Worm in Goats) hote hai
unake masude aapko safed najar aayenge.
Ø Abnormal
Stools (Bakariyo ko bar bar diarrhea hona)
Bakariya agar
swasth ho to unka mal saaf aur lendi ke rup me hota hai, lekin agar kisi bakari ke pet me
kide (Stomach Worm in Goats) ho to use bar bar diarrhea ke lakshan dikhayi denge, sath hi bakariyo ki lendi me chipchipa sa drav agar ho to samaj lena chahiye ki bakari ke pet me kide hai.
Ø Dull Coat ( Bakariyo ke
bal aur twacha bejan dikhna)
Swasth
bakariyo ke balo par ek khas kism ki chamak hoti hai, ye bakari swasth hone ke
ek lakshano me se ek hota hai, jis bakari ke bal chamakdar hote hai, wo bakari
swasth aaur unke pet me kide (Stomach Worm in Goats) nahi hote, agar kisi bakari ki bal
bejan aur skin dull dikhe to us bakari ke pet me kide hai ye samaj lena chahiye.
Ø Low Weight (Bakariya
kamjor hona)
Agar
koi bakari kafi khati hai magar uska weight nahi badhta to samaj lena chahiye
ki bakari ke pet me kide (Stomach Worm in Goats) ho sakate hai, kyo ki bakari ke pet me
kide hone se, wo kide bakarine jo chara ya fir khurak khai hai usmese Nutrition
aur poshantatv chus lete hai jis karan bakari ne kitana bhi khya to uska weight
nahi badhata.
In
khataro se bachane ke liye naisargik dewormer yaani Natural Dewormer ka prayog
karana chahiye. Natural Dewormer bakariyo ke swasth ke liye acche hote hai
sathhi inke istemaal se koi side effect bhi nahi hota. Natural Dewormer badehi
aasaanise hamare ghar tatha kheti aur bagicho me uplabdh bhi hote hai.
Is
post ki madat se aap jaan gaye honge ki bakariyo ke pet me kide hai ya nahi ye kaise jane. Agar aapke koi sawal hai to comments jarur kare.
Bakariyo ke Natural Dewormar ke bare me adhik janakari ke liye
video dekhe.
https://www.youtube.com/watch?v=zgGFTiidjik
Symptoms of Stomach Worm in Goats
Reviewed by Nitesh S Khandare
on
July 29, 2018
Rating:
No comments:
Note: Only a member of this blog may post a comment.